Hello !

A girl who leads a virtual and philosophical life.
She has a wise goat in her brain who takes a walk in a new quadrant of the globe everyday .
When back home from its grazing path it shares her heart with the girl whom she confides in.
The girl listens to her , gets poetic sometimes.
Someday she feels rather very informed when she gets to know about the technological advances.
Sometimes lands herself in a jigsaw situation.
Sometimes she is rather bewildered yet confident.
Spriritual sometimes , rather emotional sometimes!

Thursday, October 3, 2013

The kavita

Hello Hindians there!
I know this is suppose to be an ENglish Blog but hell doesn't break in if there is a lil bit of Hinglish . As an Indian I just can't get away from my Hindi and Urdu roots which I blabber all the time and be an english speaking imposter .

The poem begins with a description of a girl born in the city of Nawabs, the way she is brought up and finally the quest of her family in finding a suitable compatible spouse for their daughter.

Dhoom machakar janmi ladki khan saab ke ghar
kilkariya aur cheeke maare nanhi jaan raat bhar
Gali Mohalla ghoom rahi hai Khan saab ki toli
Jo mila uske haath bhejdete mithai ki katori
Ghar par inaam maang rahe hai hijre dil me liye umang
Dhoom machakar janmi ladki khan saab ke ghar

Naniji lekar aayi use kamre ke bahar
Dadiji ne kaha ki ladki ka rang gaya hai naniyaal par
Dadiyaal me hai sab gore chitthe dekho jidhar kidhar
Aankhein badi badi gayi hai Khan saab ki jaisi
Naak naati hi rahi mausi ji ke jaisi
Gol matol beti hui Buaji ke jaisi
Patle hoth laayi hai bilkul dadi ji ke jaise
Dhoom machakar janmi ladki khan saab ke ghar

Khan saab ne dekha usko bhali bhanti muskaaye
Jo hai Allah Ka Shukr hai kehkar godhi me use uthae
Naam ladki ka Laila , Hasina , Jamila hoga chachi ji ne kaha
Naam to Ayesha , Amina , Sumayya jaisa ala hoga Dadi ne kaha
In dono ki muth bhed me khansaab ne Ma ka saath diya
huzoor ki biwiyo ke naam me se Ayesha naam chuna
Sar neeche kiye roti ladki ko manate hue thi Khansaab ki biwi padi
Chup hoja beta dekh Abbu kya laaye? kehti rehti

Saal beeta Ayesha ne badbadana jald hi seekha
Ammi Abba, Dada Dadi , Nana nani , aunty kehna fatafat seekha
Shuru kiya Ammi ne usse La ilaha padhana
Bhagti thi wo idhar udhar , do chaate markar padhta tha usko bithana
Dadi kehti kyu ho bahu tum ladki ke saath saqt pesh aati
Umar hai uski khelne ki seekh legi kisi aur din gudya
Daud wo jaati dadi ke aanchal me jab padhne ki baari aati

Chaar saal me ki khan saab ne bismillah ki dawat
Bulaya mohalle ke sadar se faqeer sab ko
Mangwaye Bismillah ke laddu
Aayi Ayesha baithi beech mehfil me
Taakti rehti apni ma ko jo thi masroof mehmaan ki kidmat me
Ghat se pakad liya usne apni Dadiji ka aanchal
Chupne lagi Dadi ke peeche sabki nazar se chupte hue
Kaha jab Moulvi ne Bismillah kehne ko
Ro padi bechaari dekh kar Moulvi ki lambi daadhi
Bada manane ke baad kaha usne BISMILLAH

Paanch saal ki umar bheja usko isaayi madrase ko
Ghar aakar boli A for Apple B for Bua C for Chachi har ek ko
Kuch saal me kiya matric pass behtreen numbero se
Dadi ne pehnaaye phool aur di sone ke jhumkeh din
Kuch din me dhundhne lage uske liye rishte.

Ladka ho to eklauta ho
na ho uska koi bhai ya behen
Ma baap ho zaeef se ya  ho
saath samandar par rehen
Kamaato ho kamse kam pachaas saath hazaar
Ya ho qudka karobar thos ho jiski buniyaad

Dikhne me ho lamba chauda
Gora chittha milgaya to theek hai warna
sawla bhi chaljaaye
Kad ho khansaab se uncha
Darja ho kamse kam Khansaab ke jaisa
Izzat ho jiski beshumaar
Use banane baithi thi Dadi apne ghar ka Damaad

Aaye kayi ladke dekhne unke ghar
Kisi ko chahiye the ladki unchi
Kisi ko chahiye the gori
Kisi ko chahiye thi naazuk kali
Kisi ko chahiye thi degree padhi

Jab ladki dikhti pehni jeans kehti chachi ye nahi hai kapdo ki tameez
Jab pehenti salwar kameez , ladke kehte ladki me nahi koi modern cheez
Dhundhte Dhundhte hua saara khandaan pareshaan shayad hi koi miljaaye unki beti ko shohar
Karte rahe sadqa , ki kayi duaen , Gaye Haj karne Khuda ke ghar ...
Aage ki story to be continued later ;)
There is a story, a kahani , a poem , a kavita whatsoever you name it.
When the rest of the world is sailing in the ship of poetry , I thought of splashing and playing with the water for a brief course of time.



Enjoy and let enjoy!

No comments:

Post a Comment

Thanks :)